LIFE KA LESSON!
Thursday, March 16, 2006
Kasme vaade saare toot jaate hai
Dost saare chooth jate hai
Zindagi ek gadi hai
Aate usme laakhon sawaari hai
Sawaariyon ko nahi dene ka dil
Unko seeedha pakadane ka ticket ka bill
Maine ek sawaari ko de diya dil
Bola usko har janam mein mere ko mil
Life mein aa gaya na jaane kahan se itna thrill
But in reality ho raha tha mein actually grill
Abhi to chale the bus do chaar hi kadam
Ki pata chala ki pyar tha mera bharam
Mera haal dekh ke khud ko aa gayi sharam
Sapna toota, dil toota
Jaane kisne mera pyar loota
Maine aakhirkaar feka ukhaad pyar kaa khoota
Seekh liya hai maine life ka lesson
Ab loonga mein har ladki ka alag alag session.
Chahe ab nikal jaye mera aakhri dum
Style na hogi meri kabhi kum.
Dost saare chooth jate hai
Zindagi ek gadi hai
Aate usme laakhon sawaari hai
Sawaariyon ko nahi dene ka dil
Unko seeedha pakadane ka ticket ka bill
Maine ek sawaari ko de diya dil
Bola usko har janam mein mere ko mil
Life mein aa gaya na jaane kahan se itna thrill
But in reality ho raha tha mein actually grill
Abhi to chale the bus do chaar hi kadam
Ki pata chala ki pyar tha mera bharam
Mera haal dekh ke khud ko aa gayi sharam
Sapna toota, dil toota
Jaane kisne mera pyar loota
Maine aakhirkaar feka ukhaad pyar kaa khoota
Seekh liya hai maine life ka lesson
Ab loonga mein har ladki ka alag alag session.
Chahe ab nikal jaye mera aakhri dum
Style na hogi meri kabhi kum.
17 Comments:
hmm vry well written..wish if we cld all throw our pain in the air with sarcasm like this...u r awesome shanky... :-)
to yeh raaj hai galib jaise shayaro ka ;-) sahi hai lage raho... shayad duniya ko aur ek mirza mil jaye !!
I see u r improving on your wrtting skills. Suna tha par abhi sach lagta hai pyar mein insan shayari bhi seekh hi jata hai.
Hamari taraf se: (well actually purana hai.. ;) )
Hamesha yaad rakhna dost "bus, train aur ladki......".
Zindagi ek gadi hai par kaunse station par rukhna hai yeh tumharein hato mein hai aur kisse sawari deni hai yeh bhi.....
Absolute tripe. Nothing more than a misguided doggerel.
Get a new GF.. and if you lose her too get another one.. ;-)
http://www.2knowclick.com/geetasaar.html
Only thing thats constant is change!
Life ka lesson ek aur bhi jaan lo mere yaar
Har insaan ko kabhi na kabhi hota hai pyaar
Bhale hi tumhe pyaar mein diya kisi ne dhokha
Magar Waqt ne tumhe kabhi nahi hai roka
Nikal pado kisi doosri bus mein hoke sawaar
Mil jaayenge tumhe humsafar aur do chaar
Kya pata likha ho kaun tumhaari kismat mein
Na bigaado apni zindagi kisi ki ulfat mein
Kissi se ho jaaye agar aamna saamna
Apne is yaar ko maa kasam mat bhoolna
Agar dikhe na tumhe apne liye koi sign
Shayad humein hi mil jaye us sawaari se line :)
HI CAME ACROSS UR BLOG WHILE BROWSING THROUGH NITA'S BLOG. VERY NICELY WRITEEN POEM!
THE PIC ON THE POST'THE PIC THAT PAINS'IS ACTUALLY VERY TOUCHING!! SEE THE SOUL OF WE INDIANS, COME WHAT EVR, WE NEVER FAIL TO LAUGH! GOOD POST
Stumbled on your blog via Diana's.
"Pic that pains" is incredible...its like a thousand octaves of silence pounding your brain all at once and you cant do anything but feel the deathly paranoia of having to keep going no matter what.
Nice blog.
got this as a fwd :
Manzile bhi uski thi, Rasta bhi uska tha.
Ek main akela tha, Kafila bhi uska tha..
Sath-Sath chalne ki soch bi uski thi,
Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha...
Aaj kyon akela hoon, Dil sawal karta hai,
Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska tha....?
and one more ....
laher aati hai kinaare se palat jaati hai,
yaad aati hai aur dil mein simat jaati hai,
laher aur yaad mein farq sirf itna hai ki,
laher bewaqt aur yaad har waqt aati hai
why did u put that video on ur blog?
@acientmariner urf 'PP'
Wah wah wah! Kya baat hai... chaa gaye!
@Diana : I keep on changing videos. Its just for fun. :-)
hmmm..nice one..ab ye mat kehana...."main shayar to nahin..."
zindagi mein milne waala
har ajnabi humsafar nahi hota
kuch log hote hain majboor
har majboori ka naam dhokha nahi hota
Dil ke dard ko kya khoob tum
hansi mein udhana jaante ho
ishq pyar nahi bandhte, tum
kyun dhaagon mein inhe baandhte ho
ciao
Khushi
aisi bhi kya ho sakti hai majboori
shayad iska jaan-na bhi hai zaroori
isne nahi chaha tha kissi ko baandhna
uska farz tha dastaan-e-dil sunaana
gar chupa bhi hua ho kahi koi afsaana
kaise bhool jaaye samajhkar ek bahana
ashq aakhon mein liye rota hai ghalib
sharm us bewafaa ko magar nahi aati
Sab jaankar kissi ko kya haasil hua hai
dard-e-dil par asar kab dawa ka hua hai
kissi ke guzarne ka afsaana na kar
jo mudh kar na dekhe, nah hamsafar hua hai
yeh manti hun tumeh jawab-e-justajoo hai
ho ashiq tum, tumeh ishq ki arzoo hai
bewafaa jo tere bazm mein aake khadhi hai
woh ulfat ki maari bhi ek paak rooh hai
taqdeer ki maari, ab muskurati nahi hai
tujeh dukh ho, yeh chahati nahi hai
nazar tujh par karti jahan ki khushi hai
usse maange se bhi, Faut aati nahi hai
usse aei ghalib ,shayari aati nahi hai
jazbaton ki murat ban paati nahi hai
aa jaaye joh saamne woh chehra tumhara
pal dar palak woh jhapkaati nahi hai
noor-e-nazar kar, uski ulfat ke kayal
tujhi aisi khamoshi bhaati nahi hai
Post a Comment
<< Home